Header Ads Widget

Makhdoom Mohiuddin's famous ghazal: Aapki yaad aati rahi raat bhar....

Makhdoom Mohiuddin was among the post popular poets of his generation. He was a rebel in his poetry as well as life.

A Marxist, he took active part in Telangana agitation.Ironically he is more remembered for his verse 'Ek chameli ke mandve tale...' sung by Rafi and Asha, that got immense popularity.

Read his ghazal:

आप की याद आती रही रात भर
चश्म-ए-नम मुस्कुराती रही रात भर

रात भर दर्द की शमा जलती रही
ग़म की लौ थरथराती रही रात भर

बाँसुरी की सुरीली सुहानी सदा
याद बन बन के आती रही रात भर

याद के चाँद दिल में उतरते रहे
चांदनी जगमगाती रही रात भर

कोई दीवाना गलियों में फिरता रहा
कोई आवाज़ आती रही रात भर

मखदूम मुहीउद्दीन 



Now read in Roman English script:

aapkii yaad aatii rahii raat bhar
chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar

raat bhar dard kii shamaa jaltii rahii
Gham kii lau thartharaatii rahii raat bhar

baaNsurii kii suriili suhaani sadaa
yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar

yaad ke chaaNd dil meN utarte rahe
chaaNdnii jagmagaatii rahii raat bhar

koii diivaana galiyoN meN phirtaa rahaa
koii aavaaz aatii rahii raat bhar

Makhdoom Mohiuddin

Post a Comment

0 Comments