Header Ads Widget

Mirza Ghalib's famous Urdu ghazal: Ye na thi hamari qismat ki visaal-e-yaar hotaa...

Mirza Asadullah Khan 'Ghalib' was born in Agra in 1797.
Ghalib attended the court of last Mughal emperor Bahadur Shah Zafar & saw the destruction of Delhi, in 1857. He passed away in 1869. Read his ghazal:

ये न थी हमारी किस्मत कि विसाल-ए-यार होता 
अगर और जीते रहते, यही इंतज़ार होता 

तेरे वादे पर जिए हम, तो ये जान, झूट जाना 
कि ख़ुशी से मर न जाते अगर एतबार होता 

कोई मेरे दिल से पूछे, तेरे तीर-ए-नीमकश को 
ये खलिश कहाँ से होती, जो जिगर के पार होता 

ग़म अगरचे जाँ-गुसल है, पर कहाँ बचें कि दिल है
गम-ए-इश्क गर न होता, गम-ए-रोज़गार होता

कहूँ किस से मैं कि क्या है! शब्-ए-ग़म बुरी बला है 
मुझे क्या बुरा था मरना अगर एक बार होता?

हुए मर के हम जो रुसवा हुए क्यूं न ग़र्क़-ए-दरया 
न कभी जनाज़ा उठता, न कहीं मज़ार होता 

ये मसाएल-ए-तसव्वुफ़, ये तेरा बयान ग़ालिब 
तुझे हम वली समझते, जो न बादाख्वार होता 

ग़ालिब

Now read Roman transliteration of this ghazal that has such amazing couplets that they remain their quotability value even after 150 years. The thought remains as fresh and as unique, as it was in Ghalib's era.

ye na thii hamarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa 
agar aur jiite rahte yahii intazaar hotaa



tere vaade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanaa 
ke Khushii se mar na jaate agar aitabaar hotaa



koii mere dil se puuchhe tere tiir-e-nimakash ko 
ye Khalish kahaaN se hotii jo jigar ke paar hotaa 



ye kahaaN kii dostii hai ke bane haiN dost naaseh 
koii chaarasaaz hotaa, koii Gham-gusaar hotaa


Gham agarche jaaN-gusal hai, pe kahaa.N bacheN ke dil hai 
Gham-e-ishq gar na hotaa, Gham-e-rozgaar hotaa


kahuuN kis se maiN ke kyaa hai, shab-e-Gham burii balaa hai 
mujhe kyaa bura thaa marnaa agar ek baar hotaa


hue mar ke ham jo rusavaa, hue kyoN na Gharq-e-dariyaa 
na kabhii janaazaa uThataa, na kahiiN mazaar hotaa



ye masaail-e-tasavvuf, ye teraa bayaan 'Ghalib' 
tujhe ham wali samajhte, jo na baadaa-Khwaar hotaa



Ghalib


Post a Comment

0 Comments