Sad Love Poetry In Urdu Biography
Source:- Google.com.pk
Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main
Woh jo ab dhoondta rehta hai kharabon mein mujhe
Tum ne ik umar kiya hai nazar’andaaz Wasi
Aur ab dhoondte phirte ho saraabon mein mujhe
Zaroob-o-taqseem Wasi ishq mein la’hasil hai
Jaaney kyon khojtay rehte ho hisaabon mein mujhe__!!
--***--
Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain
Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain
Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain
Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka
Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain_____!!
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain
Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain
Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain
Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka
Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain_____!!
--***--
Diwar pe larza hai to dhar kamp raha hai
Bichare ho to ojhara hoa ghar kamp raha hai
Tum ankh ki patali me chope sach ko bhi daikho
Mujram to nahin hai wo agar kamp raha hai
Weran hai is darja tere bad mera dil
Iss sheher me ate hoe dar kamp raha hai
Ikk main k judai ne mujhe kar dia sakat
Ikk to hai k sadame se odhar kamp raha hai
Anghan ko palat jaon na main chor k uss ko
Sehra main mera khawab safar kamp raha hai
Yaa to meri benai pe hai khof mosalat
Yaa nehar k pani me shajar kamp raha hai
Tujhe nahin don ga main kabhi hijhar k sadme
Dil me teri yadon ka sharer kamp raha hai_____!!
--***--
Tanzz karte hain jo log un ko dikhane ke liye
Laut aao na mere yaar zamane ke liye
Is liye bhi teri tasveer jala di mene
Aur kuch tha hi nahin dil ko jalane ke liye
Tere baayess hi to saktay ka hai aalam taari
Khud ko naraaz kiya khud ko mananey ke liye
Aaj phir shaam guzari hai usi jungle mein
Un darakhton se tera naam mitaney ke liye
--***--
Ansu’oon ! Shaam Ki Palkon Pe Larazty Rehna
Dob Jaye Jo Ye Manzar To Barastay Rehna____!!
Us Ki Aadat Wohi Her Baat Adhori Karna
Or Phir Baat Ka Mafhom Badaltay Rehna_____!!
Aaj Se Seekh Lia Hai Ye Qareena Hum Ne__
Bujh Bhi Jana To Bari Dair Tak Sulagtay Rehna___!!
Jany Kis Umer Main Jaye Gi Ye Aadat Us Ki
Rothna Khud Se To Auron Se Ulajhtay Rehna____!!
--***--
Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Honay Do
Mai Khud Hi Laut Jaoonga Mujhe Nakaam Honay Do
Mujhey Badnam Karne Ke Bahanay Dhoondtay Ho Kyun____??
Mai Khud Hojaoonga Badnam Pehley Naam Honey Do
Abhi Karna Nahi Aetraaf-E-Shikast Mujhko
Mai Sab Tasleem Kar Loonga Ye Charcha Aam Honay Do
Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta
Wafayen Bech Lena Par Zara Neelam Honay Do
Naye Aaghaz Main Hi Hosla Kyun Haar Bethey Ho___??
Jeet Jaogay Tum Sab Kuch Zara Anjaam Honay Do____!!
--***--
Wo Aam Si Sham Thi
Jab Juda Hoey Thy Hum
Na Toot Kar Piyar Kiya.
Or
Na Ro Saky Thy Hum
Tum Sey Gila kia
Na Zamany Se Kuch Kaha,,,
Barbad Ho Gaey
Bohat Sadgii Se Hum_____!!
--***--
Kabhi Aansu Chupa Chupa K Roye
Kabhi Daastan-e-Gham suna Suna K Roye
Raat Katti Hai Intzar-E-Yaar Mein
Hum Raat Bhar Taaron Ko Jaga Jaga K Roye
Phir Wo N Aaye Raat Ka Wada Kar K
HUm Tamam Raat Shama Jala Jala K Roye
Aaj Raat Un K Aane Ki Umeed Thi Humen
Wo N Aaye Hum Ghar Ko Saja Saja K Roye
Suna Hai “WASI” Dua Se Hoti Hai Murad Poori
Hum Saari Raat Haath Utha Utha K Roye____!!
--***--
Wo Rat Dard Aur Sitam Ki Raat Ho Gi
Wo Rat Dard Aur Sitam Ki Raat Ho Gi
Jis Rat Ruksat Un Ki Barat Ho Gi
Uth Jate Hain Ye Soch Kar Neend Se K
Kisi Ghair Ki Bahon Mein Meri JAN Ho Gi
Hosh Nahi Tha Mujhe Us Ki Shadi Ki Rat
Main Ne Kabhi Ye Na Socha Tha K Meri Zindagi Nelaam Ho Gi
Meri JAN Ab Zinda Hon Teri Khatir
Kal Shehr Mein Tere Kafan Mein Lipti Meri Lash Ho Gi
Tum Dekh Kar Khoon K Aanso Ro Gi
Youn Khoon Se Bhari Meri Lash Ho Gi
Qayamat Hi Qayamt Ho Gi Tere Shehr Mein K
Har Gali Har Ghar Mein Likhi Meri Dukh Bhari Dastaan Ho Gi
Wo Rat Dard Aur Sitam Ki Rat Ho Gi_____________!!
--***--
Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon,
Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Dil Mein Basne Waale Bhi,
Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,
Jab Door Khahin Wo Bastay Hon,
Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,
Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,
Na Dil Mein Koi Ujala Ho,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Phir Neend bhala kab ati ha..?
Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon,
Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Dil Mein Basne Waale Bhi,
Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,
Jab Door Khahin Wo Bastay Hon,
Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,
Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,
Na Dil Mein Koi Ujala Ho,
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?
Phir Neend bhala kab ati ha..?
--***--
0 Comments