Urdu Sad Poetry In Urdu Biography
Source:- Google.com.pk
Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Ek Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain
--***--
Kaash Aa Jaye Wo, Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy…
Wo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabbat Se Mukarty Dekhy…
Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham ‘Mohsin’
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Aisy Jo Na Bharty Dekhy…
--***--
Sari Needain Urha Kar Chala Gaya
Mujh Se Hi Mujh Ko Chura Kar Chala Gaya
Muhabbat Ki Intiha Kuch Is Tarhan Ki Usne
Apni Khushboo Mere Jism Mai Chupa Kar Chala Gaya
Ek Pal Ko Hansanay Aaya Tha
Her Pal K Lye Rola Kar Chala Gaya
Keh Kar Gaya Tha Mai Abhi Laut Aaonga
Kitne Pyar Se Behla Kar Chala Gaya
--***--
Mujhey Na Hosla 2 Aab Mujhe Nakaam Rehney do
Nahin Dill Mein Saher To Zindagim Mein Shaam Rehney do
Kiya Be Aasra Usne Akela Chhor Kr Mujh Ko
Merey Lab Pe Tum Ab Uss Bewafa Ka Naam Rehney do
Mujhey Aadat C Hai Chup Chaap Saa Rehta Hoon Mein Aksar
Mujhey Peeney 2 Mere Hath Mein Bas Jaam Rehney do
Khizaon Kay Mousamoon Ko Abb Baharon Ka Chaman Likhna
Baharon K Chaman Ko Ab Khizaon Ke Naam Rehney do
K Dill K Faislay Pr Zindagi Nakaam C Thehree
Hua Badnaam Ye Dill Ab Issey Badnaam Rehney do
Agr Jo Ho Sakey Mumkin To Khud Ko B Saza Dena
Agr Ho Bewafa To Khud Pe B Ilzaam Rehney do
Mitta K Apni Hasti Ko Khudi Mein Hee Maggen Rehna
Jo Zinda Ho To Na Koi Adhora Kaam Rehney do
Likho Aisi Ghazal In Bewafaon K Laye Munir
Tum Apney Aap Ko Bhi Shairon Mein Aam Rehney do
--***--
Woh Hijarr To Daita Hai Juddai Nahi Daita
Kiya Tarfa Tamasha Hai Bhujai Nahi Daita
Mahsoos To Hota Hai Rag e Jaan Mein Hi Aksar
Woh Dard Ka Naghma Jo Sunnayi Nahi Daita
Hain Bhool Bhullaiyan Bhi Kay Rasta Nahi Milta
Ye Shehr e Sitamgarr Hai Rehai Nahin Deta
Tum Ne Kabi Socha Hai K Parwana e Nayab
Khamosh Hi Marta Hai Duhaayi Nahin Daita
Is Dabr e harabat Mein Nuksaan Yeh Sahir
Jo Deed Kay Qabill Hai Dikhai Nahin Daita
--***--
Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi,
Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi.
Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay,
Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi.
Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko,
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi.
Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar,
Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi.
Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei,
Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi.
Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum,
Warna Wo Toh Mujhey Taqdeer Kaha Karti Thi
--***--
Muddat Hui Hai Yaar Se Mulaaqaat Kiye Hue
Shaayad Ho Jaaye’n Ge Khaak Yeh Aarzoo Liye Hue
Aana Hi Padde Ga Phir Iss Jahaan Mein Laut Kar
Agar Chale Gaye Yahaan Se Teri Justazu Liye Hue
Aabroo-e-Ishq Mohtaaz Hai Zabt-e-Gham Ki
Dekhiye Kab Tak Chalti Hai Yoon Labo’n Ko Siye Hue
Tum Se Judaa Ho Ne Ke Baad Saans Toh Chalti Rahi
Magar Zamaana Guzar Gaya Hamein Zindagi Jiye Hue
Aab Poochne Aaye’n Hai Khairiyat Beemaar Ki
Le Chale’n Hain Yaar Jab Usse Kaandha Diye Hue
--***--
Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paye Khuda Kare
Tujh Ko Tera Nasib Rulay Khuda Kare
Raton Main Tujh Ko Nend Na Aye Khuda Kare
Shammain Jala Jala Ke Bhojay Khuda Kare
Aye Bahar Tere Gulistan Main Bar Bar
Tujh Par Kabhi Nikhar Na Aye Khuda Kare
Meri Tarha Bhi Tujy Jawani Main Gum Mile
Tu Dar Badar Ki Thokarin Khaye Khuda Kare
Tujh Par Shab-e-Risal Ki Nendain Haram Ho
Tu Bhi Dua Ko Hath Uthay Khuda Kare
Ho Jay Dua Yeh Meri Bud Dua
Kash Tujh Par Kisi Ko Taras Na Aye Khuda Kare
--***--
Kal Ajab Saaniha Sa Howa Rait Per
Naam Tera Nahee Likh Saka Rait Per
Kis Ki Awaaz Se Tham Gaye Hain Qadam ?
Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sadaa Rait Per ?
Oski Aankhon Se Sholay Nikaltay Rahay
Naachti Reh Gayi Kal Ghataa Rait Per
TU Ne Jo Bhee Hawaa Se Kahaa Reh Gaya
Mit Gaya Mein Ne Jo Bhee Likha Rait Per
Mein Tumhain Choomna Chahta Hun Abhee
Os Ne Mujh Se Ye Ik Din Kaha Rait Per
Ab Ye Sehra Hee Tere Muqaddar Mein Hain
TU Ne Maangi Hee Kiun Thi Duaa Rait Per ?
Ik Shola Uthaa Os Jaga Se “Wasi”
Mera Aansoo Jahan Gir Gaya Rait Per_____!!
Naam Tera Nahee Likh Saka Rait Per
Kis Ki Awaaz Se Tham Gaye Hain Qadam ?
Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sadaa Rait Per ?
Oski Aankhon Se Sholay Nikaltay Rahay
Naachti Reh Gayi Kal Ghataa Rait Per
TU Ne Jo Bhee Hawaa Se Kahaa Reh Gaya
Mit Gaya Mein Ne Jo Bhee Likha Rait Per
Mein Tumhain Choomna Chahta Hun Abhee
Os Ne Mujh Se Ye Ik Din Kaha Rait Per
Ab Ye Sehra Hee Tere Muqaddar Mein Hain
TU Ne Maangi Hee Kiun Thi Duaa Rait Per ?
Ik Shola Uthaa Os Jaga Se “Wasi”
Mera Aansoo Jahan Gir Gaya Rait Per_____!!
--***--
Behky behky howe andaz-e-byan hoty hain…
Ap hoty hain to phir hosh kahan hoty hain…
Hont paband hain mafoom byan hoty hain…
Koi samjhy to ye Aansu bhi zuban hoty hain…
Yaad hai teri nigahon ka badalna mujh ko…
Aisy andaz qyamat mein kahan hoty hain…
Q shab-e-gham na jalaon teri yadon k chiragh…
Un se roshan meri manzil k nishan hoty hain…
Gham hai baqi to kisi rooz khushi bhi ho gi…
Phool bhi khaak k pehlu mein jawan hote hain…
--***--
Behky behky howe andaz-e-byan hoty hain…
Ap hoty hain to phir hosh kahan hoty hain…
Hont paband hain mafoom byan hoty hain…
Koi samjhy to ye Aansu bhi zuban hoty hain…
Yaad hai teri nigahon ka badalna mujh ko…
Aisy andaz qyamat mein kahan hoty hain…
Q shab-e-gham na jalaon teri yadon k chiragh…
Un se roshan meri manzil k nishan hoty hain…
Gham hai baqi to kisi rooz khushi bhi ho gi…
Phool bhi khaak k pehlu mein jawan hote hain…
--***--
0 Comments