Sardio Ka Mosam Hai December Ane Wala Hai
Ab Kay Hum Ne Socha Hai Barishey December Ki
Bhegtey He Guzrey Gi Sunii Baho Mein Apni
Barishey Smetey Gay Seney Se Lpetey Gay
Anson Kay Moti Bhi Barisho Mein Dhoay Gay
Phir Kabhi Na Roye Gay Ab Kay Hum Ne Socha Hai
Sard Ratain December Ki Udaas Na Guzarain Gay
Yaadgar Rakhain Gay Gungunati Yakhbasta Ungliyo Kay Poroo Ko
Baloon Mein Piroyein Gay Gamgdar Bistar mein
Hasraton Kay Kambel Mein Pursakoon Sooay Gay
Ab Kay Hum Ne Socha Ha Ane Wale December Ki Sabhi Shamey
Ajab Toor Se Guzarain Gay Suna Hai December Ki Sabhi Shame Udaas Hoti Hai
Dhalta Howa Suraj Dil Dubata Hai Kay Es Mosam Mein Tanhai Badi Dil grifta hoti ha
Abhi Guzrain December Mein Kuch Aisa He Haal Apna Tha
Mager Es Baar Kuch Naya Karne Ko Man Ha Ab Kay Hum Ne Socha Hai
Sahib-e-naam-e-Jana Ko Ab Ki Sham Likhein Gay
Shaam Ki Kahani Mein Khud Ko Gumnaam Likhen Gay
Os Ko May Pukarain Gay Khud Ko Shaam Likhen Gay
December Ki Haseen Rato Mein Taza Kalaam Likhen Gay
Ab Kay Hum Ne Socha Hai Subah Kay Ojaloon Mein
Maah December Kay Suraj Kay Abo Taab Dhekhain Gay
Dobtay Baras Ka Chadhta Aftaab Dhekhain Gay
Ab Kay Hum Ne Socha Hai Guzrain Pal Ki Yadoon Ko
Jhotay Sachay Wadoon Ko Sereey Se Bhool Jana
Kisi Se Kuch Shikwa Nahi Jani Na Kuch Umeed Rakhni Ha
Beech Mehfil Se Oth Jane Ki Aadat Choodh Deni Ha
Khawab Khawab Chehroo Ko Ankahe Sheroo Ko
Be Mehfil He Kehna Hai Barf Barf Angan Se
Harf Harf Chunna Hai Adhay Adhorey Sapnoo Ko
Naye Serey Se Likhna Hai Ab Kay Hum Ne Socha Hai
December Mein December Ko Naye Saal Se Pehlay Alvida Bhi To Kehna Hai
Zubair Jani
This Poetry Special For December I Really Love This Urdu Poetry and i hope you really Like this love shayari December.This is famouse poetry in urdu december this ghazal so sad and inspiraional word use this poetry.This is sad poetry blog and i daily uploaded ne poetry kalaam ghazal misre and etc.this blog updated poetry some big names of poet allama iqbal mirza ghalib mir taki meer faiz ahmad faiz wasi shah anwar masood ali zaryoon and etc.i love all urdu punjabi english poetry but my favroit poet is Allama iqbal.

0 Comments