suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki
urdu poetry sad
Suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain
suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai
So us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalte hain
So hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aaina timsal hai jabin us ki
jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain
suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein
urdu poetry sad
mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein
palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain
wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain
bas ek nigah se luTta hai qafila dil ka
chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain
kise nasib ki be-pairahan use dekhe
urdu poetry sad
kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain
kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi
agar wo KHwab hai tabir kar ke dekhte hain
ab us ke shahr mein Thahren ki kuch kar jaen
'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain
urdu poetry sad
0 Comments