Header Ads Widget

Urdu Ghazal by Sad Poetry in Urdu, Sad Poetry in Roman English

Urdu Ghazal by Sad Poetry in Urdu, Sad Poetry in Roman English


Aaye Zindagi Baar Baar Na Rulaya Kar
Sad Poetry in Urdu
Har Kisi K Paas Chupp Karaaney Wala Nahi Hota

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Honay Do

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Honay Do
Me Khud Hi Laut Jaunga Zara Na-Kaam Honay Do

Mujhey BadNaam Karne K Bahaney Dhoondte Ho Kyun
Main Khud Ho Jaun ga BadNaam Pehlay Naam Honay Do

Abhi Mujh Ko Nahi Karna Hai Aitraaf-e-Shikast
Main Sab Tasleem Kr Lon ga Ye Charcha Aam Honay Do

Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta
Wafaaen Baich Lena Par Zara Nelaam Honay Do

Naye Aghaaz Main Hai Hosla Kyun Torr Bethay Ho
Tum Sab Kuch Jeet Jaoge Zara Anjaam Hone Do.
Sad Roetry in Roman English
Jab teri dhun mein jiya karte the

Jab teri dhun mein jiya karte the
Hum bhi chup chap phira karte thay

Aankh me piyas hua karti thi
dil me toofan utha karte thay

Log atey thay ghazal sunne ko
ham teri bat kia karte thay

sach samajhte thay teray waadon ko
rat din ghar me raha karte thay

kisi weerane me tujh se mil kar
dil me kia phool khila karte thay

ghar ki dewar sajaney ke lye
ham tera nam likha karte thay

wo bhi kia din thay bhula kar tujh ko
ham tujhe yad kia karte thay

jab teray dard me dil dukhta tha
ham teray haq me dua karte thay

bujhne lagta tha jo chehra tera
dagh seeney me jala karte thay

apne jazbon ki kamandon se tujhe
ham bhi taskheer kia karte thay

Apne aansu bhi sitaron ki tarha
teray honton pe saja karte thay

Chherta tha gham e dunya jab bhi
Hum teray gham se gila kartay thay

Kal tujhe dekh k yaad aaya hai
Hum sukhan war bhi hua kartay thay
Sad Roetry in Roman English
Phoolon Ki Aarzoo Mein Bare Zakhm Khaaye Hain,
Sad Poetry in Urdu
Phoolon Ki Aarzoo Mein Bare Zakhm Khaaye Hain,

Lekin Chaman Ke Khaar Bhi Ab Tak Paraaye Hain,

Us Par Haraam Hai Gham-E-Dauraan Ki Talkhiyaan,

Jis Ke Nasib Men Teri Zulfon Ke Saaye Hain,

Mahshar Men Le Gai Thi Tabiyat Ki Saadagi,

Lekin Bade Khuloos Se Ham Laut Aaye Hain,

Aayaa Hoon Yaad Baad-E-Fanaa Un Ko Bhi 'Adam',

Kyaa Jald Mere Seekh Pe Imaan Laaye Hain.
Sad Poetry in Urdu
Wisal mosam guzar gaya to khayal ban kar mila karen gey
Sad Poetry in Urdu
Wisal mosam guzar gaya to khayal ban kar mila karen gey.

Bichar gaye to hum ik
mah_e saal ban kar mila karen gey,

Kitab-e-ehad e wafa ke ik ik warq pe apni khabar miley gi,

Hum Ahl_e_ulfat mohabbaton ki misal ban kar mila karen gey,

Hazar lamho'n ki ho musafat dilo'n ki dharkan sunai de gi,

Guzarte lamhon ki har sada mein dhamaal ban kar mila karen gey

Abhi to lamhon ki dooriyon per bhatak rahe hain magar kabhi hum,

Falak ki gardish mein aa gaye to hilal ban kar mila karen gey.
Sad Poetry in Urdu
Hamara Tum Ko Yeh Salam Akhri Hai
Sad Roetry in Roman English
Hamara Tum Ko Yeh Salam Akhri Hai
Suno Aj Tum Se Kalam Akhiri Hai

Agar Ho Sake Tu Bhula Dena Hum Ko
Yahi Aik Chota Sa Kaam Akhiri Hai

Abhi Aarzoun Kay Sehra Hain Piayasay
Magar Ansoun Ka Ye Jaam Akhiri Hai

Teri Bewafai Ka Shikwa Nahi Hai
Yahi Tu Wafa Ka Inaam Akhiri Hai

Mareeez E Muhabt Kay Chara Sazoo
Tumhare Sheher Mie Ye Shaam Akhiri Hai

Koi Mil Sakega Na Tumhay Ham Jaisa
Tere Husan Ka Ye Ghulam Akhiri Hai
Sad Poetry in Urdu

Post a Comment

0 Comments