Love Poetry in Urdu
Kuch Khabar Toh LaYi Hai Baad-e-Bahaaran Us Ki
Shayad Iss Rah SE Guzrey Gi Sawari Us Ki
Mera Chehraa Hai Faqt us Ki Nazar Say Roshan
Aur Baqi Jo Hai Nazm Mein Nigaari Us Ki
Ankh Uthaa Kar Jo Rawadaar Na Thay Dekhne Ko
Wohi Dil Karta Hai Ab Minaat-o-Zaarii Us Ki
Raat Ki Ankh Mein Hain Halkey Ghulabi Doorey
Neend Say Palkain Hoi Jaatin Hain Bhaari Us Ki
Us K Darbaar Mein Hazir Huwa Yeh Dil
Aur Phir Dekhne Wali Thi Kaar Guzaarii Us Ki
Aj Toh Us Pe Thehrtii He Na Thi Ankh Zarah
KE jaatey Hi Nazar MEin Ne Uthaarii Us Ki
Arsaa-e-Khaab Mein Rehna Hai KE Loot Aana Hai
Faisala Karne Ki Hai Baari Us Ki.
Love Poetry in Urdu
Shaam e Gham Ki Qasam Urdu Ghazal Poetry
Aaj GhamgEen Hain Hum
Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam
Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai
Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum
Shaam e Gham Kii Qasam
Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien
Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien
Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya
Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam
Shaam e Gham Ki Qasam
Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii
Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii
DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar
Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Num
Shaam e Gham Ki Qasam'
0 Comments