Sad Urdu Shayari Images Biography
Source:- Google.com.pk
Rog Aisey Bhi Gham-E-Yaar Se Lag Jatey Hain
Darr Se Uthtey Hain To Deewar Se Lag Jatey Hain
Ishq Aaghaz Me Halki Si Khalish Rakhta Hey
Baad Me Sainkhron Azaab Se Lag Jatey Hain
Pehley Pehal Hawas Ik Aadh Dukaan Kholti Hey
Phir To Bazaar K Bazaar Lag Jatey Hain
Be-Basi Bhi Kabhi Furqat Ka Sabab Banti Hey
Ro Na Pain To Galey Yaar Sey Lag Jatey Hain
Daagh Daman K Hon,Dil K Ya Chehrey K Faraaz
Kuch Nishan Umer Ki Raftaar Se Kag Jatey Hain
---***---
Darr Se Uthtey Hain To Deewar Se Lag Jatey Hain
Ishq Aaghaz Me Halki Si Khalish Rakhta Hey
Baad Me Sainkhron Azaab Se Lag Jatey Hain
Pehley Pehal Hawas Ik Aadh Dukaan Kholti Hey
Phir To Bazaar K Bazaar Lag Jatey Hain
Be-Basi Bhi Kabhi Furqat Ka Sabab Banti Hey
Ro Na Pain To Galey Yaar Sey Lag Jatey Hain
Daagh Daman K Hon,Dil K Ya Chehrey K Faraaz
Kuch Nishan Umer Ki Raftaar Se Kag Jatey Hain
---***---
Ashk Girtay Hain To Her Saans PIGHAL Jati Hay,
De K Ek Dard Naya Her Shaam DHAL Jati Hay,
Tujh Ko Seenay Say Laga Ker Milay Jannat Ka Sakoon,
Tujh Say Bichrron To Meri Jaan NIKAL Jati Hay,
Ishq Kuch Aisay Mitata Hay NISHAN-E-HASTI,
Jaise K Raat Ujaalay Ko NIGAL Jati Hay,
Tu Agar Dil Pay Meray Hath Hi Rakh De To,
Toot’ti Saans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati Hay,
Zakhm Bharta Hi Nahi Teri JUDAAI Ka Magr,
Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati Hy
---***---
Badnaam Mere Naam Ka Afsaana Hua Hai,
Deewane Bhi Kehte Hai Ke Deewana Hua Hai,
Rishtey Thhey Kisi Ke Saath, Jo Ab Toot Gaye,
Mera Dil Bhi Mujhse Kuch Begaana Hua Hai,
Tanhaiyi Zindagi Ki Saza Hogayi Hai Dooston,
Ghar Mera Jaise Ek Maikhana Hua Hai,
Sirf Berukhi Ki Ummidein Rakhta Hu Duniya Se Ab,
Aitbaar Kisi Pe Karke Zamaana Hua Hai,
Dhoondta Hu Usey Jo Mil Nahi Sakta,
Phir Bhi Wo Mere Jeene Ka Bahana Hua Hai
---***---
Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya,
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya,
Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi,
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya,
Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha,
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya,
Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka,
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya,
Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai,
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya,
Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai,
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya
---***---
Tere Mere Beech Zamana Parta Hai
Dil Ko Kitni Baar Batana Perta Hai
Thehar Gayi Hai Baat Muqadder Per Aa Ker
Khud Ko Yeh Aksar Samjhana Parta Hai
Sochon Ko Kab Qaid Koi Ker Paya Hai
Lekin Khud Ko Tu Samjhana Parta Hai
Rasta Ho Dushwaar Ya Raahi Anjaane
Iss Jeevan Ka Saath Nibhana Parta Hai
Khamoshi Ke Dassne Ka Darr Ho Jis Dam
Ayse Mein Khud Shor Machaana Parta Hai
Paas Mere Tou Sirf Tumhari Yaaden Hain
Yaadon Se Dil Ko Behlaana Parta Hai
---***---
Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate’ HaiN
YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate’ HaiN
Pyaar To Unko Bhi Ham Se Hai Magar Jaane’ KyuN
Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate’ HaiN
Aarzuu To Hai Ke Izhaar-E-Mohabbat Kar DooN
Laf’z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate’ HaiN
Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle’ Mohabbat Se HamaiN
Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate’ HaiN
Aik Sa Waq’t Mohabbat MaiN KahaaN Rehta Hai
Gardish-E-Waq’t Se Haalaat Badal Jaate’ HaiN
---***---
Kuch Din Se Zindagi Mujhe Pehchanti Nahi
Yun Dekhti Hai Jaise Mujhe Jaanti Nahi
Wo Bewafa Jo Raah Me Takra Gaya Kahin
Kah Doongi Main Bhi Saaf Ki Pahchanti Nahi
Samjhaya Baraha Ki Bacho Pyar Veyar Se
Lekin Koi Saheli Kaha Manti Nahi
Maine Tujhe Moaaf Kiya Ja Kahin Bhi Jaa
Main Buzdilon Pe Apni Kaman Tanti Nahi
Anjum Pe Hans Raha Hai To Hansta Rahe Jahan
Main Bewaqufiyon Ka Bura Manti Nahi
---***---
Ajab Larki Hoon Main Khud Ko Ganwana Chahati Hoon…
K Aapne Aap Se Pecha Churwana Chahati Hoon…
Na Jane Kya Talluq Hai Mera Ranj-O-Alam Se…
Koi Bhi Dard Ho Dil Mien Basana Chahati Hoon…
Kai Bhoole Howe Chehre Yaad Aarahe Hien…
Zara Se Dier Ko Aansu Bahana Chahati Hoon…
Najane Kyun Mujhe Pather Samajhte Hai Duniya…
Main Kya Hoon Kon Hoon Un Ko Batana Chahati Hoon…
Sitam Jo Bhi Zamne Ne Kya Hien Mujhe Per…
Hamesha K Lye Bhool Jana Chahati Hoon…
---***---
Karoon Ti Kis Liye Aakhir Karoon Malal Us Ka,
Usey Nahin To Mujhey Bhi Nahin Khayal Us Ka,
Meri Wafa Ne Banaya Hai Bewafa Us Ko,
Kisi Ada Par Nahin Hai Kamal Us Ka,
Mere Naseeb Ki Yeh Bhi To Khush Naseebi Hai,
Ke Mujh Ko Dekh Ke Sab Pochte Hain Hal Us Ka,
Yehi Doa Main Karon Har Baras Ke Pehley Din,
Mere Bagher Na Guzre Koi Bhi Saal Us Ka,
Mere Urooj Ko Us Ke Naseeb Main Likh Dey,
KHUDA-E-PAK Mujhey Soonp De Zawaal Us Ka
---***---
Usey Nahin To Mujhey Bhi Nahin Khayal Us Ka,
Meri Wafa Ne Banaya Hai Bewafa Us Ko,
Kisi Ada Par Nahin Hai Kamal Us Ka,
Mere Naseeb Ki Yeh Bhi To Khush Naseebi Hai,
Ke Mujh Ko Dekh Ke Sab Pochte Hain Hal Us Ka,
Yehi Doa Main Karon Har Baras Ke Pehley Din,
Mere Bagher Na Guzre Koi Bhi Saal Us Ka,
Mere Urooj Ko Us Ke Naseeb Main Likh Dey,
KHUDA-E-PAK Mujhey Soonp De Zawaal Us Ka
---***---
Sab Se Chupa Kar Dard Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne To Aaj Mujhe Rula Diya
Lehje Se Uth Raha Tha Har Ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha K Kuch Ganwa Diya
Aawaz Mein Therao Tha Aankhoon Mein Nami Thi
Or Keh Rahe The K Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya
Jane Kya Us Ke Loghon Se Thi Shikayatein
Tanhaiyon Ke Dais Mein Khud Ko Basa Diya
Khud Bhi Voh Hum Se Bichar Kar Adhure Se Ho Gayee
Mujh Ko Bhi Itne Loghon Mein Tanha Bana Diya
---***---
Samajhta Nahi Yeh Dil Samajhanay Chalay Aao,
Do Dillon K Faaslay Mitanay Chalay Aao,
.
Junoon-E-Ishq Mein Pagal Hogaye Hum,
Apni Bahon Mein Mujhe Samanay Chalay Aao,
.
Na Door Reh Kar Tarpao Na Dil Ko Tarsao,
Apna Bana Kr Apnanay Chalay Aao,
.
Mera Ishq Sacha Hai Mera Aithbar Karlo,
Mera Ishq Mera Pyaar Azmanay Chalay Aao
---***---
0 Comments