Header Ads Widget

Best Urdu Ghazals Sad Poetry In Urdu About Love 2 Line About Life By Wasi Shah By Faraz Allama Iqbal Photos Images Wallpapers

Best Urdu Ghazals Biography

Source:- Google.com.pk
Kabh I KitaaboN MeiN Phool Rakhnaa
Kabhi DaraKhtoN Pe Naam Likhnaa
Hamein Bhi Hai Yaad Aaj Tak Wo
Nazar Se Harf-E-Salaam Likhnaa
Wo Chaand Chehre Wo Behki Baatein
Sulagte Din The Mehakti Raatein
Wo CHoTe-CHoTe Se KagHazoN Par
MuhabbatoN Ke Payaam Likhnaa
Gulaab ChehroN Se Dil Lagaanaa
Wo Chupke Chupke Nazar Milaanaa
Wo Aarzooun Ke KHawaab BuNnaa
Wo Qissaa-E-Naatamaam Likhnaa
Mere Nagar Ki HaseeN Fazaao
KahiN Jo Un Ke Nishaan Paao
To PoocHnaa Ye KahaaN Base Ho
KahaaN HaiN Un Kaa Qayaam Likhnaa
Gai RutoN MeiN “Hassan” Hamaaraa
Bas Ek Hi To Ye MashgHalaa Thaa
Kisi Ke Chehre Ko Subah Kehnaa
Kisi Ki ZulfoN Ko Shaam Likhnaa
---***---

Har Qadam Guraizan Tha, Har Nazar Main Wehshat Thi
Maslihat Parastoon Ki Rahbari Qayamat Thi
Manzil E Tamanna Tak Kon Sath Deta Ha
Gard E Sae La Hasil Har Safar Ki Kismat Ha
Aap Hi Bigarta Ha, Ap Man Bhi Jata Ha
Is Guraiz Pehlu Ki Ye Ajeeb Adat Ha
Us Ne Hal Pucha To, Yad Hi Na Ata Tha
Kis Ko Kis Se Shikwa Ha, Kis Se Kya Shikayat Ha
Dasht Main Hawaoun Ki Be Rukhi Ne Mara Ha
Sheher Main Zamany Ki Pooch Gach Se Wehshat Thi
Yoon To Din Daharat Hi Log Loot Jaty Hain
Magar Un Nigahoon Ki Or Hi Syasat Ha
Hijar Ka Zamana Bhi Kya Ghazab Zamana Tha
Ankh Main Samandar Tha, Dheaan Main Wo Surat Thi
---***---

Mane Ulfat Ka Bharam Sab Se Juda Rakha Ha
Goya Seenay Main Tujhay Dil Ki Jaga Rakha Ha
Dil Ye Chahy K Tu Kabhi Bad Nam Na
Zikr Tera Ha Magar Nam Chupa Rakha Ha
Tu Ne Is Hath Ko Baray Man Se Thama Tha Na?
Tab Se Is Hath Ko Honton Se Laga Rakha Ha
Door Hain Tum Se To Kya Hua Janaan
Teri Tasweer Ko Is Dil Main Chupa Rakha Ha
---***---

Kurb Us Ka Dil E Nadaan Dubara Mangay
Jis Ne Toofan Dia Us Se Kianara Mangay
Ay Khuda Ye Bhi Tawakkal Ki Hi Ik Surat Ha
Doobnay Wala Jo Tinkay Ka Sahara Mangay
Us Ko Jalty Huay Armaan Dikhaoun Dil K
Gar Meri Ankh Kabhi Muj Se Nazara Mangay
Aashiyan Jis Ne Banaya Tha Bari Mehnat Se
Ab Jalanay K Liay Khud Hi Sharara Mangay
Pastiyaan Apnay Muqaddar Main Likhi Hain Qaisar
Wo Nahi Janta Jo Sath Hamara Mangay
---***--- 

Sulah Karna To Ik Bahana Tha
Gow K Andaz Qatilana Tha
Jaan Se Guzray To Bhaid Ye Paya
Wo Haqiqat Nahi Fasana Tha
Waqt Guzra Ha Aik Eisa Bhi
Saya Jab Zaat Se Begana Tha
Us Ki Manzar Kashi Pe Hairaan Hoon
Kya Taaruf Wo Ghaibana Tha
Dil Sulagta Tha Soz E Hijraan Main
Narsa Us Ka Shahsaana Tha
Ranjishain Or Barh Gai Hon Gi
Dushman E Jaan Mera Zamana Tha
Parh K Roya Kalam E Aarif Ko
Aik Ik Harf Arifana Tha
---***---

Mushkiloon Se Isay Smabhala Ha
Ik Tera Gham Jo Ham Ne Pala Ha
Ehd O Paimaan Tor Kar Sary
Mujh Ko Uljhan Main Tu Ne Dala Ha
Mil Gain Talkhiyan Zamany Ki
Fikr E Duniya Ne Rond Dala Ha
Zindagi Kho Gai Andheron Main
Kon Jany Kahan Ujala Ha
Sab Se Milta Ha Muskura Kar Tu
Tera Andaaz Hi Nirala Ha
Subh E Umeed Ki Kiran Le Kar
Aik Suraj Ubharnay Wala Ha
Hont Mane To See Liay Nasir
Raz Apnoon Nay Hi Uchala Ha
---***---

Lo Raqeebun Main Naya Ik Nam Shamil Ho Gya
Ghair Tha Koi Jo Ab K Rah Main Hayal Ho Gya
Din Kuch Esay Bhi Dikhai Hain Mujhy Taqdeer Nay
Main Hua Badnaam Wo Shohrat Ha Hamil Ho Gya
Gard E Shey Ayyam Ki Ham Zad Main Esay Aa Gaey
Reh Gaey Toofan Main Or Door Sahil Ho Gaey
Us Nay Ankhain HIII Chura Li Hain Tum Say Asad
Or Chupkay Se Kisi Janib Wo Mayal Ho Gaey
---***---

Kama L-E-Zabt Ko Khud Bhee To Aazmaoon Gi
Mein Apne Hathon Se Us Ki Dulhan Sajaoon Gi
Sapurd Ker Ke Usey Chandni Ke Hathon
Mein Apne Ghar Ke Andairon Ko Laut Aoun Gi
Badan Ke Karb Ko Woh Bhee Samajh Na Paye Ga
Mein Dil Mein Ro’oon Gi, Aankhon Mein Muskaroon Gi
Woh Kaya Gaya Ke Rafaqat Ke Sare Lutf Gae
Mein Kis Se Rooth Sakoon Gi, Kise Manaoon Gi
Woh Eik Rishta-E-Be-Naam Bhee Nahi Lekin
Mein Ab Bhee Us Ke Isharon Pe Sar Jhukaoon Gi
Bichha Diya Tha Gulabon Ke Sath Apna Wajood
Woh So Ke Uthey To Khawabon Ki Rakh Uthaoon Gi
Jawaz Dhoond Raha Tha Nayi Muhabbat Ka
Woh Keh Raha Tha Ke Mein Us Ko Bhool Jaoon Gi
---***--- 

Maghroor Hi Sahi Mujey Acha Buhat Laga
Woh Ajnabi Tou Tha Mager Apna Buhat Laga
Rotha Howa Tha Hans Tou Pera Muj Ko Dekh Ker
Muj Ko Tou Iss Qader Bhi Dalasa Buhat Laga
Sehra Mein Ji Raha Tha Jo Derya Dili Kai Sath
Dekh Jo Ghor Sai Tou Woh Payasa Buhat Laga
Woh Jis Kay Dam Qadam Sai Thin Basti Ki Ronkain
Basti Ujer Gai Tou Akela Buhat Laga
Lipta Howa Ho Jesey Kuhar Mein Jesey Khazan Ka Chand
Melay Libas Mein B Woh Payara Buhat Laga
Resham Pahan Kai Bi Meri Qimat Na Ber Saki
Kadher Bi Uss K Jisam Pe Mehnga Buhat Laga
Mohsin Jab Aiyne Pe Mari Sans Jamm Gai
Mujh Ko Khud Apna Akas Bhi Dundhala Buhat Laga

Post a Comment

0 Comments