Header Ads Widget

Adil Mansuri's ghazal: Khamoshi hi khamoshi hai donon ki taraf se...

Adil Mansuri, who passed away two days back, was one of the important modernist poet of Urdu.

He was known for his Nazms, unique ghazals and the symbolic modernistic metaphor which he brought to Urdu poetry.

आधों की तरफ से कभी पौनों की तरफ से
आवाज़े कसे* जाते हैं बौनों की तरफ से

हैरत से सभी ख़ाक-ज़दा देख रहे हैं
हर रोज़ ज़मीन घटती है कोनों की तरफ से

फिर कोई असा* दे कि वो फुंकारते निकले
फिर अजदहे फ़िरऔन** के टोनों की तरफ से

बातों का सिलसिला जारी हो किसी तौर
खामोशी ही खामोशी है दोनों की तरफ से

फिर बाद में दरवाज़ा दिखा देते हैं आदिल
पहले वो उठा देते हैं बिछौनों की तरफ से

आदिल मंसूरी


Read the same ghazal in Roman English script

aadhoN kii taraf se kabhii paunoN kii taraf se
aavaaze kase jaate haiN baunoN kii taraf se

hairat se sabhii Khaak-zada dekh rahe haiN
har roz zamiiN ghaTtii hai konoN kii taraf se

phir koii asaa de ki voh phuNkaarte nikle
phir aZdahe Firaun ke TonoN kii taraf se

baatoN kaa kii silsila jaari ho kisii taur
khaamoshii hii khaamoshii hai donoN kii taraf se

phir baad meN darvaaza dikhaa dete haiN Aadil
pahle vo uThaa dete haiN bichhaunoN kii taraf se

Adil Mansoori

Mini-dictionary

[*Asaa=stick]
[**Firaun=Pharaoh]
[*Azhdaha=huge snakes, mythical dragon]
[Aavaze kasna: Taunt, slanderous remarks--Urdu idiom]

Post a Comment

0 Comments