Abhi tak yaad ker rahay ho pagal ho tum qasam se,
Us ne tu teray baad bhi hazaroon bhula diye.
Haye!! hum jaise bekaar log,
Rooth bhi jain to koi mananay nahi ata.
Jitna badal sakta tha badal liya khud ko,
Ab jis ko shikayat hai woh apna raasta badal le.
Kuch logon ke hisse main mohabbat nahi aati,
Kuch loog yoon hi chup chaap chalay Jatay hain.
Kaash ke woh laut aye mujh se ye kehne,
Tum kon hotay ho mujh se bichar ne walay?
Yad kerkay abhi beemar ne toda hai dum,
Aap aaye to sahi lakin zara dair se.
Misaalain dain ge loog meri qismat ki,
Bus tum ajaoo meri Qismat kay hissay main.
Kahani meri rodad-e-jahan maloom hoti hai,
Jo sunta hai usi ki daastan maloom hoti hai.
Pasand na aye mera saath tu humain bata daina,
Mehsoos bhi na ker pao ge itna door chalay jayin ge.
Us ne waqt samajh ker guzaar diya mujhay,
Aur main usay zindagi samajh ker aaj bhi ji raha hoon.
POETRY BY USTAD ABDUL QAYOOM AERI FROM MATLI
0 Comments