Header Ads Widget

50 Most Amazing Unique Urdu Whatsapp Status For Love, Attitude, Sadness

WhatsApp is almost used by everyone and when you want to update your status you can't make a status every time. So If you are looking for most excellent Urdu status quotes for WhatsApp or Facebook then have a look at this amazing collection. This Urdu one line status collection is absolutely Best unique and cool. Or when you want to share some good piece of advice or greeting so it's not easy to convert it, into words. So I hope you will like a status or message from this whatsapp status collection. If you like then don't forget to share it with your friends too.

www.zgpoetry.blogspot.com


1. Har cheez apne waqat pe achi lagti hay, naiki kamanay ka sahi waqat jawani hay, hum naikiyan us waqat krtay hain jub hum buraiyan karnay k qabil nahi rehtay.

2.Agar rasta khoobsurat hay to maloom karo kis manzil ko jata hay,  lekin agar manzil khoobsurat hay to rastay ki prwah na karo.

3. Zuban ka wazan bohat hi halka hota hay, magar bohat kam log hi isay smbhal patay hain.
4. Baaz oqat duayen Rab k faislay nahi badltin, magar apka dil badal deti hain aur Rab k faislay k mutabiq kr deti hain

5. Apni zuban ko dusron k ayebon se alooda na karo, kyun k ayeb tumhare bhi hain aur zuban dusron ki bhi hay.

6. Hum unk nahi hotay jo har kisi k ho jatay hain.

7. Girlfriend to kamzor logon ki hoti hay mard to nikkah karta hay.

8. Zyada bolnay wala insan majboor hota hay k wo sach aur jhoot ko mila k bolay.

9. Dar lgta hay esi khushi se jo dusron ko dukh denay se hasil ho.

10. Sab ka dil rakhnay main aksar mera dil toota jata hay.

11. Hamaray alfaz hi hamari shanakhat hain.

12. Jo dil walay hote hain dimagh walay unka khoob istmaal kartay hain.

13. Ye acha hay k aap eham hoon lekin ye zyada eham hay k aap achay hoon.

14. Aanso Khaliq aur makhlooq k drmyan koi parda nahi rehnay detay.

15. Insan wahid makhlooq hay jiska zehar usk alfaaz main hota hay.

16. Kuch batain sirf Allah aur insaan k bech hoti hain.

17. Halaat jesay bhi hoon mera Allah rasta nikal hi deta hay.

18. Bhrosa rakho us Rab pr jo deta hay bin mangay.

19. Kuch dard esay hotay hain k insaan rona chahe to roya ni jata.

20. Khamoshi aur sabar kamzori nahi bahaduri hain.

21. kuch raaston pe paon nahi dil thak jata hay.

22. Aksar unhi se door jana mushkil hota hay jinhain hamari fikar tak nahi hoti.

23. Tanhai main jeena bhi ek hunar se kam nahi.

24. Hum main se sirf kuch log hi andar se bhi bahir jesay dikhtay hain,

25. Jahan bar bar apni baton ki safai deni paray wo rishtay gehray nahi hote.

26. Mazboot log khamosh rehtay hain kisi se shikayat nahi krtay.
27. Jab insan zindagi k imtehano say pathar ho jaye to phir koi dil dukha bhi day to bura nahi lagta.

28. Yaqeen janain har admi insan nahi hota.

29. Kabhi sab kuch khatam hone k bawjood insan kisi mojzay k intzaar main rehta hay.

30. Koi kisi k bghair marta nahi, jab tak saans chalti hay tab tak jeena hi parta hay.

31. Zameer marta hay ehsaas ki khamoshi say ye wo wafat hay jiski khabar nahi hoti.

32. Kuch baaton ka jawab sirf khamoshi hoti hay aur khamoshi bohat khoobsurat jawab hay.

33. Aarzi jazbat par mustaqal faisalay nahi karne chahiye.

34. Bari manzilon k musafir chota dil nahi raktay.

35. Dilon main faraq ajaye to daleelain, mintain aur falsafay bekar chale jate hain.

36. Kisi k paas rehna ho to thora door rehna chahiye.

37. Bura waqat sabhi par ata hay koi nikhar jata hay, koi bikhar jata hay.

38. Izat do lekin itni izat bhi na do k apni izat hi na rahay.

39. Khamoshiyan kabhi kabhi bohat tafseel say jawab deti hain.

40. Alfaaz sab kuch hotay hain dil jeet bhi letay hain dil cheer bhi detay hain.

41. Duniya main jitni bhi achi batain sab kahi ja chuki hain bas un par amal karna baqi hay.

42. Duniya main bohat kam log hotay hain jinhain maan rakna ata hay.

43. Apnay siwa apna koi bhi nahi hota apni qadar kijye.

44. Baaz log rawaiye parh letay hain aur baaz log alfaaz ko samjhnay se b qasir hotay hain.

45. Suna hay log bohat yaad krtay hain chalay jane k baad.

46. Mohabbat aur khushi lenay se nahi denay se milti hay.

47. Tum ajeeb ho par mujhay azeez ho.

48. Ye baray dukh ki baat hay k hamara ek dusray k dukh se koi wasta nahi raha.

49. Kisi k andar zinda rehnay ki khawaish main hum apnay andar mar jatay hain.

50. Insaan barhtay ja rahay hain insaniyat khatam hoti ja rahi hay.

Post a Comment

0 Comments