Header Ads Widget

Ramzan Mubarak Sahi Bukhari in Urdu Fonts


Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Keh jab Ramzan ka maheena aata hai to Jannat k 
darwazy khol diye jaty hain, aor shetaan zanjeeron 
main jakarr diye jaty hain.



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Jo shakhs sidq e dil aor aitmaad e sahii k sath Ramzan 
main qiyam kry, yani tarawiyaah parhy to us k 
pichly gunah bakhsh diye jayen gy.



Rasool Akram S.A ny farmaya:-
Jis shakhs ny Imaan aor ahtsaab k saath Ramzaan ka 
roza rakha to us k pichly gunaah muaaf kr diye jaty hain.



Rasool Akram S.A ny farmaya:-
Sehri khaya kro, kiyon keh sehri k khany 
main barkat hoti hai.



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Keh humary rozy aor ahal e kitab k rozy ky darmiyan sehri khany main farq hai.



Rasool Akram (S.A) ny farmaya:-
Ramzan k aakhri ashry main Shab e qadar talash kro, 
Phir agr tum main sy koi kamzori dikhaye ya aajiz 
ho jaye to aakhri (7) raaton main susti na dikhaye.



Hadees e Nabvi:-
Hazrat Abu Hureraa Biyaan karty hain keh 
Hazoor Akram S.A ny irshaad farmaya:-
Jab tm main sy koi rozaa aftaar kry to woh khajoor 
sy aftaar kry. Kiyon keh woh baa's e barkat hai. 
agar woh na paaye to phir paani sy aftaar kr ly. 
Kiyon keh woh baa's e tahaarat hai.


Post a Comment

0 Comments