Wo Chhip Chhip Ke Tanhaai Mein Aansoo Bahaati Rahi...
Jab Bhi Mili Mujhse Apne Aansuon Ko Chhipaati Rahi....
Dekh Ke Uski Aankhon Ka Haal Agar Wajah Poochha Kabhi....
"Jaanu Meri Aankh Me Khuch Pad Gaya Hai" Ye Bahana Bataati Rahi.....
Khushiyon Se Duur, Dard Se Kuch Aisa Rishta Thaa Uskaa...
Har Dard Ko Bahut Pyaar Se Apne Seene Se Lagaati Rahi....
Dekh Ke Dusron Ke Aansoo Koshish Karti Thi Kam Karne Ki...
Wo Bhulaake Apni Mohabbat Humein Mohabbat Sikhaati Rahi...
Seene Pe Rakh Ke Paththar Wo Mere Sang Pyar Ke Geet Gaati Rahi....
"Uske Ghar Valon Ne Uski Saadi Tay Kr Di Hai Aur Vo Mana Na Kr Payi...
Pagli Ye Baat Mujhse Chupati Rahi...
Ek Din Pucha Maine Meri Jaan Akhir Kya Gam Hai Tujhe...
Vo Ro Ke Boli Meri Saadi Hai, Tumhe Chor Ke Bahut Dur Jana Hai Mujhe......
Akhiri Baar Maine Aapni Jaan Ko Kas Ke Use Apne Seene Se Lagya....
Aur Pata Nahi Q Muskura Ke Use Samjhaya.....
Kabhi Meri Yaad Me Aansoo Aajaayen To Ro Lena...
Kabhi Mere Naam Se Apne Palkon Ko Bheego Lena...
Milna Kismat Me Na Tha Apne To Hum Nahi Mile...
Jo Kismat Me Hai Tumhaare Tum Usi Ke Ho Lena...
Bhoolana Mumkin Nahi Mohabbat Ko Ye Maaloom Hai...
Tum Bheegi Baarishon Me Apne Dard Ko Bheego Lena....
Kabhi Agar Wo Dekh Le Tumhe Aansoo Bahaate....
Tum Ghar Ki Yaad Aa Rahi Hai Keh Ke Uske Seene Se Lagke Ro Lena......
0 Comments