Header Ads Widget

Iqbal Poetry Urdu Sad Poetry In Urdu About Love 2 Line About Life By Wasi Shah By Faraz Allama Iqbal Photos Images Wallpapers

Iqbal Poetry Urdu Biography 

Source:- Google.com.pk

Woh Dana-e Subul Khatam ur Rusul Mola-e Kul Jis Ne
Ghubar-e Rah Ko Baksha Firogh-e Wadi e Sena

Nigah Ishq O Masti Mein Wohi Awal Wohi Aakhir
Wohi Quran, Wohi Furqan, Wohi Yaseen, Wohi Taha
---***---
Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqaam Se Guzar
Misr O Hijaz Se Guzar Paaras O Shaam Se Guzar

Jis Kaa Amal Hai Be-garaz Us Ki Jazaa Kuch Aur Hai
Huur O Khiyaam Se Guzar Baada-o-jaam Se Guzar

Garche Hai Dil-kushaa Bahut Husn-e-farang Ki Bahaar
Taa’eak-e-buland-baal Daana-o-daam Se Guzar

Koh-shigaaf Teri Zarb Tujh Se Kushaad-e-sharq-o-garb
Tegh-e-hilal Ki Tarah Aish-e-niyaam Se Guzar

Tera Imam Be-huzur Teri Namaaz Be-surur
Aisi Namaz Se Guzar Aise Imaam Se Guzar
---***---
Preshan Hon Ke Meri Khak Aakhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye
Na Kar Dain Muj Ko Majbor Nwa Fardos Mein Horain
Mra Soz Dron Phir Garmi Mehfil Na Ban Jaye
Kabi Chori Hoyi Manzil Bi Yaad Aati Hai Rahi Ko
Khatak Si Hai Jo Sene Mein Gham-e Manzil Na Ban Jaye
Bnaya Ishq Ne Darye Na Paida Karan Muj Ko
Ye Meri Negah Dari Mra Sahil Na Ban Jaye
Khain Is Aalm E Rang-o Bu Mein Bi Talab Meri
Wohi Afsana Danbala Mehmal Na Ban Jaye
Urooj-e-Adam E Khaki Se Anjum Sehme Jate Hain
Ke Ye Tota Hua Tara Meh Kamal Na Ban Jaye
---***---
La Phir Ik Bar Wohi Bada O Jam Aye Saqi
Hath A Jaye Muje Mera Muqam Aye Saqi
Teen So Saal Se Hain Hind Ke Mekhane Band
Ab Munasib Hai Tera Faiz Ho Aam Saqi
Meri Menaye Ghazal Mein Thi Zara Si Baqi
Sheikh Kehta Keh Hai Ye Bi Haram Aye Saqi
Shair Mardon Se Hwa Besha-e Tahqeeq Tahi
Reh Gaye Sufi O Mula Ke Ghulam Aye Saqi
Ishq Ki Taigh Jigar Dar Ura Li Kis Ne
Ilm Ke Ham Mein Khali Hai Nayam Aye Saqi
Sena Roshan Ho Tu Hai Soz Sukhan Ain Hayat
Ho Na Roshan, Tu Sukhan Marg Dawam Aye Saqi
Tu Meri Raat Ko Mehtab Se Mehroom Na Rakh
Tere Pemane Mein Hai Mah Tmam Aye Saqi
---***---
Sitaron Se Aage Jahan Aur Bi Hain
Abi Ishq Ke Imtihan Aur Bi Hain

Tahi Zindagi Se Nahi Ye Fazain
Yahan Sainkron Imtihan Aur Bi Hain

Qanayat Na Kar Aalm-e Rang-o Bo Par
Chaman Aur Bi Aashyan Aur Bi Hain

Agar Kho Gya Ik Nasheman Tu Kya Gham
Muqamat-e Aah O Faghan Aur Bi Hain

Tu Shaheen Hai Parwaz Hai Kaam Tera
Tere Samne Asman Aur Bi Hain

Isi Roz O Shab Main Ulaj Kar Na Reh Ja
Ke Tere Zaman-o Makan Aur Bi Hain

Gye Din Ke Tanha Tha Mai Anjuman Mein
Yahan Ab Mere Raazdan Aur Bi Hain
---***---
Zindagi Insan Ki Ik Dam Ke Siwa Kuch Bi Nahi
Dam Hawa Ki Moj Hai, Ram Ke Siwa Kuch Bi Nahi

Gul, Tabasm Keh Raha Tha Zindagani Ko Mgar
Shama Boli, Garya-e Gham Ke Siwa Kuch Bi Nahi

Raaz-e Hasti Raaz Hai Jab Tak Koi Mehram Na Ho
Khul Gya Jis Dam To Mehram Ke Siwa Kuch Bi Nahi

Zayreen-e Kaaba Se Iqbal Ye Pochye
Kia Haram Ka Tuhfa Zamzam Ke Siwa Kuch Bi Nahi?
---***---
Allah Se Kare Dor Tu Taleem Bi Fitna
Imlak Bi Aulad Bi Jager Bi Fitna
Nahaq Ke Liye Uthe Tu Shamsher Bi Fitna
Shamsher Hi Kya Nara-e Taqbeer Bi Fitna
---***---
Muztrab Rakhta Hai Mera Dil-e Betab Muje
Aen Hasti Hai Tarap Sorat Semab Muje

Moj Hai Naam Mera Behr Ha Payab Muje
Ho Na Zanjer Kabi Halqa-e Gardab Muje

Aab Mai Misal Hua Jata Hai Tu Sun Mera
Khar-e Mahi Se Na Atka Kabi Daman Mera

Mai Uchlati Hon Kabi Jazb Meh Kamal Se
Josh Mai Sir Ko Patakti Hon Kabi Sahal Se

Hon Wo Rahro Ke Mohabat Hai Muje Manzil Se
Kun Tarapti Hon Ye Poche Koi Mere Dil Se

Zehmat Tangi Darya Se Guraizan Hon Main
Wusat Behr Ki Furqat Mai Preshan Hon Main
---***---
Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!

Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman..

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen, Banda-E-Khaaki
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quraan..

Qudrat Ke Maqasir Ka Ayyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Maizan, Qayamat Mein Bhi Maizan

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Taufaan
---***---
Hamdardi
Tehni Pe Kisi Shajar Ki Tanha
Bulbul Tha Koi Udaas Betha
Kehta Tha Ke Raat Sar Pe Aai
Urney Chugney Mai Din Guzara
Pohchun Kis Tarah Aashiyaan Tak
Har Cheez Pe Chaa Gaya Andhera

Sun Ke Bulbul Ki Aah-O-Zaari
Jugnu Koi Paas Hi Se Bola
Hazir Hun Madad Ko Jaan-O-Dil Se
Keera Hun Agarcha Mai Zara Sa
Kiya Gham Hai Jo Raat Hai Andheri
Mai Raah Mai Roshni Karonga
ALLAH Ne Di Hai Mujh Ko Mashal
Chamka Ke Mujhe Diya Banaya

Hain Log Wohi Jahan Mai Ache
Aate Hain Jo Kaam Dosron Ke
---***---
Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….
---***---
Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi bat sabr-azma chahta hun
Ye jannat mubarak rahe zahidon ko
K main ap ka samna chahta hun
Koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
Chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun
Bhari bazm mein raz ki bat kah di
Bara be-adab hun, saza chahta hun

Post a Comment

0 Comments