Header Ads Widget

Alwidai December

Yeh Kesa Alwidai Geet Gaaya December Ne

Jatey Jatey Nargissi Mausam Ko Rulaya

Khain Pe Lalazar Banya

Gulab Motia Chambeli Se

Tulip Ki Larioon Se Goond Ke

Pyar Ke Rangoon Se Sainch Ke

Parioon Si Khawishoon Ke Jhoormat 

Main 

Hamrieen Laboon Pe

Duaaon Ke Alwidi Kalmaat

Tum Hamesh Raho Mere Saat

Marmareen Hatehlioon Pe Naii


Umeedoon Ke Roshan Chiragh

Sadioon Se Chand Ke Devi

Kaat Rahi Hai Charqha


Narm Narm Galoon Se

Prem Ki Dhank Se Dhunak Rahi Hai

Hur Ane Wali Subha Ko

Rub Ne Dia Hai Sub Ko Ye Hi Pegham

Ajj Jati December Ki Sham

Insaanyat Ke Naam

Mohabbat Azaadi Shanti Amaan Hai 

Sub Ki Jaan

Nafratoon Ko Kar Do Tammam

Choti Se Hasti Hai Ye

Pyar Se Basti Hai

Hamesha Se Hai

Hamesha Rahingain

Main Or Nelaa Asmman,,,,,,,,

december rain poetry

Post a Comment

0 Comments