Ik baar jo milta hai dubara nahi milta
Itni bari dunya main koi hamara nahi milta
Kis ko banayen apni zindagi ka hamsafar
Hum ko kahin se ishara nahi milta
Har rooz naye naye loog milte hain
Magar koi bhi jaan se piyara nahi milta
Gham k bhanwar main aise phasi hai naao
Pareshan hai is kadar k kinara nahi milta
Muddat k baad tere gali main aaye hain
Ab kis se pochen k tumhara ghar nahi miltaDesigned By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)
+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++Ye Jo Berukhi Hy Baja Nahi,Ye Adayen Kyon,Ye Ghuroor Kya?
Ye Guraiz Kis Liye Is Qadar,Ye Khafa Khafa Se Huzoor Kya?
Tjhe Yad Krna Mzaaq Tha,Tjhe Bhool Jana Azab Hai
Ye Saza Hai Jurm-e-Firaaq Ki, Mere Hafzey Ka Qasoor Kya?
Tere Saath Hai Jo Teri Ana,Mere Saath Mera Naseeb Hy
Mujhe Tujh Se Kesi Shikaytein,Tujhe Khud Pe Itna Ghuroor Kya?
Ye Tmhara Chehra Kitab Hai,Isy Parh Raha Hun Main Warq Warq
Zara Baat Saada Likha Karo,Ye Muhawron Ki Satoor Kya?Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)
++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++Reza Reza Sapnon Waale,
Toote Chehre Aadhe loog
Jaan waale kab aatae hian,
kyun karte hain waade loog
Aas main Bethi Shehzadi ki,
maang main Chaandi jhank chuki
Itni dair se kyun Aate hain Aakhir ye Shehzade loog??
Piyar ki raah pe ungli thaame,
andha'dhund chal parte hain
Na Samjhi main mar jaate hain,
hum se Seedhe sadhe loog
Hum dono main kon hai mujrim,
ye tey hona Mushkil hai
Aadha Shehar tha haami uska, sath the mere Aadhy loog.....
Designed By Saddiq Ur RehMan SaddiqI(009 3025866338)
++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++Main is umeed pe dooba k tu bacha lega
Ab is k baad mera imtehaan kya lega
Ye aik mela hai waada kisi se kya lega
Dhalega din to har ik apna rasta lega
Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaonga
Koi chiragh nahi hon jo phir jala lega
Kaleja chahiye dushman se dushmani k lye
Jo be amal hai wo badla kisi se kya lega
Hazar tor k aa jaon us se rishta "Waseem"
++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
0 Comments